Friday 8 May 2015

Mein Berozgaar

Mein berozgaar tha,
Mein khud ke kya,
kisi ke kaam nahi aa raha tha,
Magar ek din ek machar ne mera khoon choosa

Meine usse maara nahi,
Nahi usse bhagaya,
Meine socha: kam se kam
Aaj kisi ke toh mein kaam aaya.

Usdin se meine apni soch badli,
Mein ab logo ke kaam aane ko,
Apna rozgaar samjta tha,
Mein phir kabhi berozgaar nahi raha,
Mein phir kabhi berozgaar nahi raha.


No comments:

Post a Comment